Friday, July 8, 2011

A drop from the ocean of Galib

 

dil-e-nadan tujhe hua kya hai

akhir is dard ki dawa kya hai

ham hain mushtaq aur wo bezar

ya ilahi ye majara kya hai

main bhi munh mein zaban rakhta hun

kash pucho k mudda kya hai

jab k tujh bin nahi koi maujud

phir ye hangama, ai Khuda kya hai

ye pari chehra log kaise hain

gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai

shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai

nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai

sabza-o-gul kahan se aye hain

abr kya chiz hai hawa kya hai

hamko unse wafa ki hai ummid

jo nahi jante wafa kya hai

han bhala kar tera bhala hoga

aur darwesh ki sada kya hai

jan tum par nisar karta hun

main nahi janta dua kya hai

main ne mana k kuch nahi 'ghalib'

muft hath aye to bura kya hai

No comments:

Post a Comment